Skip to main content

computer ki besic jankari

            computer kya hai hindi me
{about computer}

Introduction...computer sabd ki uttapatti (compute) sabd se hui jiska arth hai gadana karna. so ise hum ek calculating device bhi kah sakte hai.but aaj iski paribhasa badal gai hai because aab computer ka upayog sirf gadna me hi nahi hai. aaj iska upayog music,graphic,internet aur anya chhetron me bhi ho raha hai isliye ab ise ek electronic devive mean (modern machine) bhi kah sakte hai.jo data accept karta hai aur ek wistrit step by step processing ke baad ushe information me badalta hai aur output result represent karta hai. yah data ko accept,store aur unhe mainipulate karta hai.
History of computer...computer ka itihas pahale gadna ke liye pryog me lai jane wali device me machanical devices thi.
Abikas ko pahala coputer kaha jata hai. baad me Paskal,Larence,Jaikab,Etasafbery etc... inhone kai devices banaya but kisi bhi device me memory nahi thi.
iske baad 17th century me charls baibej ne enatical aur difference machine ka aviskar kiya jisme memory lagi hui thi .
isi ke karan charls baibej ko computer ka father kaha jata hai.
(ENIAC)first electronic computer hai.yahi se electronic computers ka suruat hua.
Generation of computer...computers ko unke heneration ke hisab se unko bata gaya hai jiska describe niche kiya gaya hai...
first generation(1945-1954)is first generation me vaccume tube technology ka upayog kiya gaya tha.jisne sakar kar computers ko calculation karna possible kiya.
Second generation(1955-1964)computer ke second generation me trangister technology ka upayog kiya jaya tha.jisne computer ke aakar ko thoda chhota aur tej kiya.
Third generation(1965-1974)computer ke third generation me intigrated circuits(i.c) technology ka upyog kiya jisase ye tulnatmak, bharosemand & tej samgha gaya.
Fourth generation(1975-Till date)in this generation of computer me micro processor technology ka upyog kiya gaya tha jo teeno generations ke computers se kafi tej tha.yah bharosemand,size me chhote aur bahut tej computer tha hai jise kahi bhi easily le jaya ja sakta hai.
Fifth generation(present and next)fifth generation ke computer me artificial intelligence ka upyog kiya gaya jo ise computer technology me super batata hai.jisme yah apne khud ke iQ memory ka bhi istamal karta hai.
characteristics of computer...
Speed
Accuracy
Diligence
Storage capacity
Versatility
computer system...computer system ek physical (bhautik) chhune yogya electronic yantra hai.jo different different yantro se milkar bana hai.example...input-output device,processing device,momory etc...
inhe system panel ke tarah or un bhautik element ke hisab se vargikrit kar sakte hai.jo ek computer system sanchalit karna possible karte hai.
power switch-(power switch wo switch button hota hai jisase ek computer ko start ya band kar sakte hai.
Reset button-(is button ki madad se hum kisi computer system ki madad se hum kisi computer system ke chalu halat me apni jaroorat ke hisab se use punah start(Restart)kar sakte hai.

CD/DVD Rom drive-(is device ki madad se hum kisi computer system me koi CD ya DVD ko access kar pate hai.
Floppy drive-(ye drive kisi computer system me Floppy disk ko access karne me istemal hota hai.
Front USB port,MicAnd Headphone-(ye port kisi usb device ko access karne me upayog hota hai jabki Mic aur headphone jack slot kisi microphone or headphone ko jack wire se connect kar song sunsne ka kam karta hai.
Indicator light-(ye wo signal light hoti hai jo system ke start hone ke samay se chalte rahane tak jalti rahati hai aur system ke band hone par automatic band ho jati hai.
power supply socket-(yah saket computer system me power supply dene ke liye cable ko connect karne me istemal hota hai.jisase power smps ki madhyam se jaruri electronic component tak pahuchta hai.
Keyboard socket &mouse socket -niche diye gaye photo me left side mo do socket hara aur bangani colour socket ki madad se computer system me keyboard aur mouse ko connect kiya jata hai.
Parellel port-(is parellel port ki madad se computer system me koi other device jaise printer ko connect kiya jat hai
VGA port-(is port ki madad se visual display unit jaise moniter ko connect kiya jata hai.
Mic and speaker jack slot-(is slot madad hum computer system me koi microphone ya speaker connect kar sakte hai.jisase hum sound ko store (by Mic) ya play kar sakte hai.
Network slot-(is slot se hum computer system ko network cable ki madad se kisi network se connect kar sakte hai.
Fan-(yah ek fan hota hai jo computer system ke andar hota hai aur jiska muh bahar ki taraf hota hai. jo cpu dwara uttapanna heat (garmi)ko bahar bhej deta hai.
Motherboard-(yah computer system ka important part hota hai jisme sabhi electronic component jude rahate hai.
jo ek computer system sanchalit karna possible banate hai.example...Ram,Rom,Processor etc...
CpU-(central processing unit)-(yah computer system ka sabse important part hota hai jo coputer system me koi bhi data ya information jo user dwara btaur input ki tarah se diya gaya hota hai ko processar kar ek niyat output pradan karta hai.
Ram-(ram ek primery momory hoti hai jo ek cheep ke roop me ek slot ki madad se motherboard se juda hota hai.jo system par karya karne ke liye jaroori memory uplabdh karata hai.
Rom-(rom computer system me ek cheep ke roop me motherboard ke roop me jooda rahta hai jo (BIOS)information ko surikshit rakhta hai jo computer system ke booting ke dauran upyog me lai jati hai.
Display adapter card(Ghaphic card)-(yah ek adapter hota hai jo cpu ko moniter se link karta hai.jo bhi stock cpu se link karta hai .jo bhibstock cpu ke antargat hota hai use yah moniter par represent karne me sahyog karta hai.
Expansion slots-(is slot ki madad se hum kuchh anya device ya enterface ko computer system se connect karte hai jo system ki karya chhamata ko badhata hai jab koi system kuchh aise feature ko jinko support nahi karta unhe hum expansion slot ki madad se jod sakte hai jaise sound card,network card,ghaphic card etc..

Comments

  1. Very nice knowledge history of computer and computer generation knowledge.

    ReplyDelete

Post a Comment

Eva Blog

Over 600,000+ Readers Get fresh content from Eva

Sponsor

Popular Posts

Popular Posts